wo ek shaKHs tha
jo akela tha us ka koi bhi na tha
ek ikai tha wo
aur ek din KHud apni ikai mein zam ho gaya
is ne marte hue ek wasiyyat likhi
jis mein likkha tha!
ai aadmi!
ai wo ek shaKHs
jo mere marne ki pahli KHabar sun ke dauDe
aur aawaz de bhaiyo aao is ka janaza uThao
aur is aawaz pe koi aawaz us tak na pahunche
aur phir mujh se bekas akele ko kandhon pe apne dhare
aur akeli si ek qabr mein mujh ko pahuncha ke mahfuz kar de
mera wo dost itna sa ehsan mujh par kare
wo meri qabr par ek sada sa katba lagae
aur us par mera nam likh de
sach kahun is se main apni shohrat nahin chahta
kya mera nam aur kyun wo baqi rahe
main is waste chahta hun ki jab
shahr ke log ye sun ke dauDen
ki dekho ye mashhur hai, log kahte hain wo shaKHs to mar gaya
sochte hain ye usi ki shararat na ho
taki hum log ab us se ghafil rahen
us ke fitne se apne ko mahfuz samjhen
bas yahi chahta hun
ki aisa koi shaKHs DhunDhe mujhe
to suhulat ho us ko ye tasdiq karne ki
ye shaKHs sach-much nahin hai
wo ab mar chuka hai
main to ab dushmanon ke bhi aaram ke haq mein hun
kyun kisi ko kisi se KHalal ho?
kyun kisi ko nam se ek dahshat ho?
sare insan duniya mein aaram se soen aur KHush rahen
Nazm
Katba(4)
Khalilur Rahman Azmi