KHudaya! na main ne kahin sar jhukaya
na duniya mein ehsan ab tak kisi ka uThaya
mere sar pe jab dhup hi dhup thi
us ghaDi main na DhunDa kahin koi saya
to ab tu hi aa kar meri aabru ko bacha le
yahi ek tohfa hai
jo main tere pa-e-aqdas pe rakh dunga
aur ye kahunga
yahi meri punji, yahi hai kamai
mujhe aur kuchh bhi ata kar na pai
ye teri KHudai
KHudaya!
meri nazr-e-be-maya ko dekh kar
jis KHazane mein is ki jagah ho
ab wahan par ise Dal de
Nazm
KaTba(1)
Khalilur Rahman Azmi