suniye ek na-aqibat-andesh ki fariyaad hai
kah raha hai wo mujhe apni jawani yaad hai
main jise kahta tha ghar wo aaj tifl-abaad hai
meri tanha jaan hai aur kasrat-e-aulad hai
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
wo bhi kya din the ki jab ye muflisi chhai na thi
aashiqi qaid-e-shariat mein abhi aai na thi
kis qadar the mutmain go jeb mein pai na thi
kasrat-e-aulad ke bais ye ruswai na thi
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
kya KHata meri ki jo bachcha hua juDwan hua
aur ma ham-zad aajiz hi ke ghar mehman hua
mere ghar aaya to goya daKHil-e-zindan hua
mulk mein ghalle ki qillat ka naya unwan hua
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
ho gae hain ek darjan aaj tak laKHt-e-jigar
ek in mein referee gyarah khilaDi hain magar
is khilaDi team mein footbaal hai in ka pidar
us ko dauDate hain ye bachche idhar gahe udhar
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
ja ke pahle ke liye moTi sifarish launga
mauqa-be-mauqa aizza ko bahut dauDaunga
apne sare doston ki jaan ko aa jaunga
aur kisi daftar mein us ko naukri dilwaunga
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
dusra bimar hai launga main us ki dawa
DhunDhta hun tisare ke daKHle ko madrasa
ja ke chauthe ne jo ham-sae se jhagDa kar liya
is ko neki de KHuda se kar raha hun ye dua
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
panchwan hai aur chhaTa hai aur patangen aur Dor
satwan hai, aaTHwan hai aur nawan karte hain zor
koi bachcha chiKHta hai aur koi karta hai shor
kyunki ye ek dusre ko chheD kar karte hain bor
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
hain jo daswin, gyarahwin, donon hain kandhon par sawar
ye dila do wo dila do kah rahe hain bar bar
barahwan bachcha jo hai wo kar raha hai man ko KHwar
raat bhar rota hai us ki god mein wo na-bakar
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
ghar mein motor bhi barae-bar-bardari nahin
sath le jaane mein bachchon ke ba-juz-KHwari nahin
ek bachcha god mein le lun ki wo bhaari nahin
wo magar darjan hain main insan hun lari nahin
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
baat sach ye hai ki hum the jis zamane mein jawan
KHandani qasam ki mansuba-bandi thi kahan
aur ashya-e-zaruri bhi na thin itni giran
aaj main hun aur meri muflisi ki dastan
ai gham-e-dil kya karun, ai wahshat-e-dil kya karun
Nazm
Kasrat-e-aulad
Syed Mohammad Jafri