اردو हिंदी
Kasrat-e-aulad | Shaahi Shayari
kasrat-e-aulad

Nazm

Kasrat-e-aulad

Nashtar Amrohvi

;

kasrat-e-aulad se hum is qadar bezar hain
ab to begam se alag rahne ko bhi tayyar hain

ab ye aalam hai ki jas kamre mein bhi Dalo nazar
ghar ke har kone mein hain bikhre hoe laKHt-e-jigar

apni begam par hue sham-o-sahar hum yun nisar
posTaron ki shakl mein rassi pe laTka hai wo pyar

jis taraf bhi dekhiye aulad hi aulad hai
KHana-abaadi ke baad ab KHana-e-barbaad hai

sard aahen dekh kar begam ko hum bharne lage
muskura kar dekhne se in ke hum Darne lage

chiDchiDe kuchh is qadar hum ho rahe hain aaj-kal
rakh kai KHanjar darmiyan mein so rahe hain aaj-kal

KHun ke aansu hum apne haal par rone lage
pahle single ho rahe the ab double hone lage

mujh ko ye Dar hai kabhi shaitan bahkane lage
hum miyan-biwi qarib aane se katrane lage

hum kisi taqrib mein hon ya kisi baraat mein
log Dar jate hain bachche dekh kar hi sath mein

dekh kar logon ka ghussa kitne ghabrae the hum
apne bachchon ki jagah un ke uTha lae the hum

sas bhi ab to hamein kuchh din ko bulwati nahin
aur begam bhi bina bulwae KHud jati nahin

is dafa phir jab wiladat ka hua tha silsila
aa gae aaankhon mein aansu main ne ro kar yun kaha

mere ghar mein to bahut pahle hi se bhar-mar hai
aur tu duniya mein aane kai liye tayyar hai

Tal de apni wiladat aur kuchh din ke liye
tu ne hum se kaun se badle ye gin gin ke liye

kya kahun haalat apne aaj-kal aise nahin
ab to marne ke liye bhi jeb mein paise nahin

koi bimari agar aa jae to jati nahin
KHarch ke Dar se hamein to maut bhi aati nahin