اردو हिंदी
Kasila zaiqa | Shaahi Shayari
kasila zaiqa

Nazm

Kasila zaiqa

Shaheen Gazipuri

;

ba-yak-jumbish
meri aankhon ko patthar kar diya jis ne

wo KHanjar kash
sine mein mere paiwast ho jata

rawan hai
waqt ki saffak mehrabon ke niche

nahr-e-KHun-basta
sisakti chiKHti tanha sadaon ki

main ab kis ke liye
ghar ke khanDar mein KHwab ghar ke dekhta jaun

zaban par hai kasila zaiqa tanbe ke sikke ka
kahan tak har kisi ke samne kashkol phailaun