yahan KHwab-e-sukun-parwar mein bhi bedariyan dekhin 
yahan har hoshiyari mein nai sarshaariyan dekhin 
yahan ki ghaTiyon mein husn ke chashme ubalte hain 
yahan har chiz par jazbaat-e-insani machalte hain 
pareshan manzari mein bhi yahan fitrat sanwarti hai 
KHamoshi mein bhi ek mauj-tarannum raqs karti hai 
wo shaalimar ki ranginiyon mein husn ka jadu 
wo duniya-e-shabab-o-sher wo gulzar-e-rang-o-bu 
nashat-e-ruh-afza ki fazaon mein wo rangini 
wo fawwaron ki naghma-saziyon mein kaif-e-KHud-bini 
wo joban chashma-e-shahi ki doshiza bahaaron ka 
ki gul phule hain ya jhurmuT utar aaya sitaron ka 
wo unche parbat aur un par wo bal khati hui rahen 
wo har wadi-e-tamanna-KHez phailai hui bahen 
sanobar ki ghani shaKHon ka wo kaif-afrin saya 
ki jis mein iztirab-e-zindagi ne bhi sukun paya 
jidhar dekha udhar ek chashma-e-barfab hi dekha 
nigahon ne meri ek manzar-e-simab hi dekha 
sar-e-maghrib wo apni sair pani par shikaron mein 
KHizan ka wahm bhi ek pap hai aisi bahaaron mein 
yahan pani ke dhaare par charagh-e-zist jalte hain 
yahan maujon ki godi mein kai mallah palte hain 
kinaron ke wo barqi qumqumon ka aks pani mein 
ki jaise bijliyan taDpen taKHayyul ki rawani mein 
jilau-KHane hain fitrat ke ki ye rangin fazaen hain 
ye maujen kausar-o-tasnim ki hain ya hawaen hain 
nigahen jis taraf uThti hain sheristan hai manzar 
latafat se bhara mausiqiyon ki jaan hai manzar 
main hairan hun ki is KHitte ko kyun kar sar-zamin kahiye 
sadaqat ka taqaza hai ki firdaus-e-barin kahiye
        Nazm
Kashmir
Maikash Akbarabadi

