اردو हिंदी
Kashmir | Shaahi Shayari
kashmir

Nazm

Kashmir

Akhtar Payami

;

surKH phulon se lahu phuT raha hai shayad
aaj jannat mein jahannum ke nazare dekho

aaj mazdur ke mathe ka pasina ban kar
aasmanon se bhi TuTenge sitare dekho

aaj mahkum nigahon ko jalal aaya hai
rakh ki god mein palte hain sharare dekho

aaj aiwan-e-hukumat ke sutun kanp uThe
kis tarah muD gae ye KHun ke dhaare dekho

jabr aur zulm ki tariKH badal jaegi
aaj badli hui duniya ke ishaare dekho

aaj aankhon se naya git sunate jao
KHun se waqt ki ye aag bujhate jao