zindagi aaj bhi ek masala hai
na taKHayyul
na haqiqat
na fareb-e-rangin
git qurban kiye
shola-e-dil nazr
naghma-e-KHwab diye
phir bhi ye masala
git mausam ka
hasin jism ka
KHwabon ka jise
main ne aur mere ham-asron ne gaya tha use
zindagi sunti nahin
sun ke bhi hans deti hai
aag
jazbaat ki aag
dil-nashin
shabnamin
masum KHayalat ki aag
apne qasbe ki kisi dard bhari raat ki aag
zindagi aaj bhi har aag pe hans deti hai
kaun jaane ki meri tarah ho marghub ise
dard-e-dil nashsha-e-mai
zindagi aaj bhi ek masala hai
aur ise hal hona hai
main agar naza mein hun
hal to ise hona hai
dil ye kahta hai ki le jae jahan raat chalo
aur science ye kahti hai, mere sath chalo
Nazm
Kashmakash
Salam Machhli shahri