اردو हिंदी
Kashmakash | Shaahi Shayari
kashmakash

Nazm

Kashmakash

Naresh Kumar Shad

;

sochte sochte phir mujh ko KHayal aata hai
wo mere ranj-o-masaib ka mudawa to na thi

rang-afshan thi mere dil ki KHalaon mein magar
ek aurat thi ilaj-e-gham duniya to na thi

mere idrak ke nasur to riste rahte
meri ho kar bhi wo mere liye kya kar leti

hasrat-o-yas ke gambhir andhere mein bhala
ek nazuk si kiran sath kahan tak deti

us ko rahna tha zar-o-sim ke aiwanon mein
rah bhi jati wo mere sath to rahti kab tak

ek maghrur sahukar ki pyari beTi
bhuk aur pyas ki taklif ko sahti kab tak

ek shaer ki tamannaon ko dhoka de kar
us ne toDi hai agar pyar bhare git ki lai

is pe afsos hai kyun is pe tajjub kaisa
ye mohabbat bhi to ehsas ka ek dhoka hai

phir bhi anjaane mein jab shahr ki rahon mein kahin
dekh leta hun main doshiza jamalon ke hujum

ruh par phailne lagta hai udasi ka ghubar
zehn mein rengne lagte hain KHayalon ke hujum

sochte sochte phir mujh ko KHayal aata hai
wo mere ranj-o-masaib ka mudawa to na thi

rang-afshan thi mere dil ki KHalaon mein magar
ek aurat thi ilaj-e-gham-e-duniya to na thi