ek andhiyare kone mein
kuchh Dara Dara kuchh sahma sa
baiTha tha ek ajnabi
man mein ek KHauf liye
kahin chandi ki chamak
use andha na kar de
ya paise ki khanak
pagal na kar de
mazi ki soch se
aankhon ki khiDki par
ek parat si chaDh gai nami ki
phir jo dekha mustaqbil ki or
nazar aaya kuchh bhi nahin
ek dhund ke siwa
apni jaDen kaT kar
chal to paDa shahr ki or
magar is be-murawwat jahan ke
dastur se na-waqif tha wo ajnabi
jo rota hai yahan use aur rulate hain log
utri sunahri dhup
man ke andhere kone mein
phir dekha jo aankh mal ye jaana
ki taqdir ne la phenka hai
ek aise dorahe par
jahan chun pana apni rah
koi aasan si baat nahin
ek or zamin par
bichhi hai kaliyan
surKH gulab ki
guzarti hai ye rah
kai dilkash nazron ko chum
magar jati hai kidhar
ek andhi gali ki or
dusra rasta dhul mein sana
jahan karenge istiqbaal
chand kilen kuchh KHar
rah kuchh dushwar hai zarur
magar yahan ki faza
pur-kaif aur pur-sukun
chal paDa wo ajnabi
kanTon wali rah par
panw se riste surKH KHun ke qatre
bikhre zamin par aise
jaise bichhi ho hazaron
surKH pankhuDiyan gulab ki
Nazm
Kashmakash
Aditya Pant u0027Naaqidu0027