main apni khoj mein gum thi
ki main kya hun
azal ke hadse ka silsila hun
ya faqat miTTi ki murat hun
musaKHKHar karne wala zehn hun
ehsas ki dhimi sajal aawaz hun
ya apne KHaliq ki
koi aisi ada hun
jo use KHud bha gai hai
tumhein paya to ye jaana
ki mera bhi koi mafhum hoga
tumhein kho kar
mere mafhum ki surat nikhar aai
fishaar-e-be-yaqini ne
wafa ke baad gumbad mein
azal ke karb ki surat mein
apni ibtida dekhi
abad ke aaine mein
intiha ka naqsh bhi dekha
KHuda ka aks bhi dekha
Nazm
Kashf
Yasmeen Hamid