tere dil mein ghaltan ho gar wo anokhi kasak
ki jis ke sabab tujh ko har shai pukare, kahe:
mujhe dekh meri taraf aa mujhe pyar kar
tu lapke to har chiz tujh se khinche dur dur
tere dil mein ho mauj-dar-mauj ek sail-e-dard
magar tu na samjhe kashish kya hai duri hai kyun
faqat wo anokhi KHalish dil mein ghaltan rahe
hawaon ke hathon mein betab maujon ke daf
hua tesha-zan sabz sayyal billor par
hawa se dhaDakte samundar ke sahil pe kaf
ye aamezish-e-husn-o-KHauf aarzu o farar
tere dil mein ghaltan rahe wo anokhi kasak
tafawut kabhi nit badalti umangon mein dekh
tafawut kabhi lahke sabze ke rangon mein dekh
kahin taza konpal mein sabze ki halki jhalak
kahin Tahni Tahni badalta hai patton ka aks
kabhi dhup mein nikhra nikhra hai rangon ka rup
kabhi chhanw mein sham ke sae mein abr mein
sabhi rang kuchh aur bhi gahre hote hue
tafawut se jin ki teri aankh hairan rahe
ye hairat kashish hai kashish mein anokhi kasak
teri fahm ki dastaras se magar dur dur
ye miThi rasili anokhi kasak zist hai
Nazm
Kasak
Zia Jalandhari