pani mein aks dekha
jangal mein raqs dekha
suraj libas pahne
chanda se ziyaada ThanDa
us raat aaine mein
ek aisa shaKHs dekha
chandni ke rath par saj ke
us shaKHs ki sawari
ab ho rahi hai dekho
su-e-ufuq rawana
ab laegi wahan se
kuchh dard ka KHazana
un manzaron se haT ke
jharne ke shor-o-shar mein
hum ne nahate dekhi
ek hur be-hijabi
chandni ke bahr o bar mein
kartik ki KHwab-naki aankhon ke do-jahan tak
katik ki chandrmai sapnon ke la-makan tak
ai la-makan makani
sun ke sada kisi ki
jun pichhe muD ke dekha
wan dur koh-e-dil ki nam nam si lakDiyon ka
birhan sa KHub-surat choTi pe ek makan tha
lekin wo jal raha tha
katik ki chandni mein!
Nazm
Kartik
Salahuddin Parvez