labon pe alfaz hain ki pyason ka qafila hai
nami hai ye ya furaat aaankhon se bah rahi hai
hayat aaankhon se bah rahi hai
sipah-e-fisq-o-fujur yalghaar kar rahi hai
dilon ko mismar kar rahi hai
lahu lahu hain hamari sochen
barahna-sar hai haya tamannaen baal nochen
wafa ke bazu kaTe hue hain
halakaton ke ghubar se zindagi ke maidan paTe hue hain
dhuan har ek KHema-e-sada se nikal raha hai
har ek andar se jal raha hai
riya ke nezon pe aaj sachchaiyon ke sar hain
yazidiyat ke usul apne uruj par hain
baDi hi zalim hai haq-pasandi ko chain lene na de ye duniya
hamein to kufa lage ye duniya
qadam qadam aazmaishon ki faza mili hai
hamein to har daur mein nai karbala mili hai
Nazm
Karbala
Muzaffar Warsi