اردو हिंदी
Karachi ke mushaere mein Daka | Shaahi Shayari
karachi ke mushaere mein Daka

Nazm

Karachi ke mushaere mein Daka

Khalid Irfan

;

ye kis ne bazm-e-adab ke sukun ko taka
mushaeron mein bhi paDne laga hai ab Daka

mushaere mein Dakaiti ka shauq rakhte hain
hamare ahd ke Daku bhi zauq rakhte hain

adab-nawaz the Daku suKHan-shanas the wo
mere watan ki siyasat ka iqtibas the wo

ajab Dakait the jin ka nasib phuTa tha
jinhon ne shahr ke in muflison ko luTa tha

paDa wo ran ki ek ustad sher bhul gaya
kisi nahif se shaer ka sans phul gaya

bayaz apni kisi ne uchhaal kar rakh di
bajae cash rubai nikal kar rakh di

udhar Dakait sambhaale the gun uDai hui
udhar wo pel raha tha ghazal churai hui

ye kis ne bazm-e-suKHan luT li KHuda jaane
tamam shahr ne pahne hue hain dastane

mushaere mein na sona tha aur na chandi thi
suKHan-waron ki to har chiz hi purani hai

jo sab se qimti shai hai wo sherwani hai
ye apne sher sunate hi phuT lete hain

mushaere ko tarannum se luT lete hain
hamare sher sunen aur sher-bin ho jaen

KHuda kare ki ye Daku bhi samain ho jaen