اردو हिंदी
Karachi ka traffic | Shaahi Shayari
karachi ka traffic

Nazm

Karachi ka traffic

Syed Mohammad Jafri

;

chashm-e-bad-dur karachi mein traffic ka nizam
unT-gaDi ki gadha-gaDi ki Tik-Tik ka nizam

rahgiron se police walon ki jhak jhak ka nizam
kitna choukas hai ye pasmanda mamalik ka nizam

rah roke hai police kar-guzari dekho
kis tarah jati hai shahon ki sawari dekho

dekho wo jati hai rishwat se KHaridi hui car
sehn-e-gulshan mein ho jaise guzaran mauj-e-bahaar

pak daman pe nahin us ke zara gard-o-ghubar
chor-bazar mein phirti hai ba-sad-izz-o-waqar

kya ho is car ke niche jo koi aa jae
be-wasila ho to lambi si saza pa jae

na KHuda ka hai ise Dar na hai insan ka Dar
na ise rakhsha chalate hue haiwan ka Dar

na police ka hai ise KHauf na chaalan ka Dar
hai agar Dar to usi mard-e-musalman ka Dar

unT-gaDi pe sajae jo julus aata hai
jis tarah muttahid aqwam mein rus aata hai

unT-gaDi jo saDak par nazar aa jati hai
cadillac car ise dekh ke sharmati hai

buick mein huk si uThti hai to bal khati hai
mercury Thaharti hai dodge bhi katraati hai

mujh ko tujh se jo hai ulfat wo hai one-way saqi
hum bhi hain tere hi allah ke bande saqi

bus chali ja rahi hai umr-e-gurezan ki tarah
Thas ke baiThe hain musafir saf-e-mizhgan ki tarah

mubtala pech mein hain zulf-e-pareshan ki tarah
dar pe laTke hain bashar KHar-e-mughilan ki tarah

race karti hain basen shahar ke bazaron mein
hain ye sab qabiz-e-arwah ke auzaron mein

rickshaw jati hai dikhati hui josh aur KHarosh
aur wo naghma jise sun ke ho jhengur KHamosh

kaisi bal khati hui jati hai tufan-ba-dosh
baiTh kar jis mein sawari ke bhi uD jaenge hosh

jab gaDha aata hai raste mein uchhal jati hai
apni chandiya ko sawari jo hai sahlati hai

ek hafta bhi traffic ka manaegi police
jada-paimai ke aadab sikhaegi police

ek gadha shahar mein se chun ke jo laegi police
us ko har tarah se insan banaegi police

hafta bhar baad wo ho jaega pahla sa gadha
lakh sar mara magar kuchh nahin sikha na paDa

kitna achchha hai karachi mein traffic ka nizam
na to public na police walon ke munh mein hai lagam

roz chaurahon pe karti hai police mashq-e-kalam
jada-paimaon ka jari hai wahi tarz-e-KHiram

ja-ba-ja board pe likkha hai ki KHamosh raho
fikr-e-farda na karo mahw-e-gham-e-dosh raho