اردو हिंदी
Kapas ka phul | Shaahi Shayari
kapas ka phul

Nazm

Kapas ka phul

Qamar Jameel

;

tum mujhe qatl na karo
main KHud kai TukDon mein baT jaunga

mera ek TukDa
kapas ka phul ban jaega

aur dusra wo aag
jo kapas ke phul se raushan hoti hai

tum mujhe qatl na karo
main KHud kai TukDon mein

baT jaunga
mera ek TukDa

dariya ban jaega aur dusra
wo chand jo is dariya mein Dub jata hai

han mujhe qatl na karo
kyunki main apni shahadat ki

gawahi dene ke liye dobara
paida ho jaunga

kya tum nahin dekhte ki suraj
dobara nikal aata hai

chand dobara tulua ho jata hai
aur kapas ka phul dobara khil jata hai

aur ibaadat-gahon mein aag
dobara raushan ho jati hai