اردو हिंदी
Kaniz | Shaahi Shayari
kaniz

Nazm

Kaniz

Ahmad Faraz

;

huzur aap aur nisf shab mere makan par
huzur ki tamam-tar balaen meri jaan par

huzur KHairiyat to hai huzur kyun KHamosh hain
huzur boliye ki waswase wabaal-e-hosh hain

huzur honT is tarah se kapkapa rahe hain kyun
huzur aap har qadam pe laD-khDa rahe hain kyun

huzur aap ki nazar mein nind ka KHumar hai
huzur shayad aaj dushmanon ko kuchh buKHar hai

huzur muskura rahe hain meri baat baat par
huzur ko na jaane kya guman hai meri zat par

huzur munh se ba rahi hai pik saf kijiye
huzur aap to nashe mein hain muaf kijiye

huzur kya kaha main aap ko bahut aziz hun
huzur ka karam hai warna main bhi koi chiz hun

huzur chhoDiye hamein hazar aur rog hain
huzur jaiye ki hum bahut gharib log hain