main sadqe tere haq ke pyare kanhaiya
zamin par KHuda ke utare kanhaiya
nahin ek gokul pe mauquf jalwe
tere har kahin hain nazare kanhaiya
maza to yahi hai teri marifat ka
ki har qaum samjhe hamare kanhaiya
wahi to hain bas zinda-dar-e-mohabbat
tere ishq ke jo hain mare kanhaiya
jafa-o-sitam ke andheron mein mil kar
bane KHalq mein chand tare kanhaiya
mili hai unhen ko to rah-e-haqiqat
chale hain jo tere sahaare kanhaiya
ajab kya mazalim ki tarikiyon mein
zamana tujhe phir pukare kanhaiya
jo hain aaj bhi haq-parasti ke mahram
wo zinda hain tere sahaare kanhaiya
na dil 'kans' hai aur na wo daur 'afkar'
magar rah gae haq ke pyare kanhaiya
Nazm
Kanhaiya
Afkar Mohani