kandhe jhuk jate hain jab bojh se is lambe safar ke
hanp jata hun main jab chaDhte hue tez chaDhanen
sansen rah jati hain jab sine mein ek guchcha sa ho kar
aur lagta hai ki dam TuT hi jaega yahin par
ek nannhi si meri nazm samne aa kar
mujh se kahti hai mera hath pakaD kar, mere shaer
la, mere kandhon par rakh de, main tera bojh uTha lun!
Nazm
Kandhe jhuk jate hain
Gulzar