nasim-e-KHuld be-KHaufi se mere ghar mein dar aai
kaha main ne ki tum
kab shoala-e-jawwala ban jaogi KHashak-e-dil-o-jaan ko
jala kar KHak karna hai
badan par tharthari tari hai diwaren larazti hain
wo ThanDak hai ki baalon ki jaDon mein KHun
jamta ja raha hai
har kaDi chhat ki sikuD kar chashm aifyun-nosh ke manind
chhoTi hoti jati hai
wo dekhun wo rahi ek gurba-miskin chhupi kone mein baiThi hai
ab in takti hui aankhon ke bhure malgaje baadal
gul-o-lala sharar barsa nahin pate
wo ThanDak hai ki qalb hosh yaKH-basta hua jata hai tum kab
shoala-e-jawwala banne wali ho
bolo
nasim-e-KHuld boli mere tar-e-nafas mein yun
nihan saffak lali hai lahu jaise rag nazuk mein poshida mujhe
aaghosh mein le kar nichoDo tum to angare Tapakte dekh paoge mujhe
muTThi mein bhar kar munh mein rakh lo pi ke dekho wo sunahra
tir hun main jo gale mein chubh ke ban jata hai
angara tumhein jalna nahin aata
Nazm
Kamzori
Shamsur Rahman Faruqi