shahr ke bahar, virane mein
ek pagDanDi par tanha sa
nanha sa ek peD khaDa tha
shaKHen us ki chhoTi chhoTi
patte kam kam
phal bhi thoDe ikka-dukka
jaise kisi ne toD liye hon
lekin saya ghana ghana tha
main ne dekha
ek musafir us ki chhanw mein sustata tha
thoDi der mein wo uTh baiTha
saman us ne safar ka bandha
aur safar ki aasaish ko
peD se do ek phal bhi toDe
hare hare kuchh patte noche
gaThri mein chupke se rakkhe
shahr ke raste par chala nikla
thoDi dur se lauT ke dekha
pagDanDi par peD khaDa tha
nanha sa, wo tanha tanha!
rah-rau ThiTka soch mein Duba
apne-ap se wo yun bola
is viran si pagDanDi par
tanha tanha be-masraf sa
peD khaDa hai! kya karta hai!

Nazm
Kam-nigahi
Raj Narayan Raaz