aurat ke nam
mere ehsas ki wadi mein kaliyan muskuraati hain
magar main chun nahin sakti
main lamhon mein safar karti hun
tabinda ufuq ke is kinare tak
jahan aakash dharti ke labon ko chumta hai
sans leta hai
mere hathon ki rekhaon mein
jaane kaisi zanjiren paDin
roz-e-awwal se
main zanjir-e-ahan toD kar
roz-e-abad tak ja nahin sakti
main kaliyan chun nahin sakti
mere jazbon ke naKHlistan mein sabza sar uThata hai
hawa dhime saron mein gungunati hai
fazaen raqs karti hain
KHuda aawaz deta hai
main sar newDha ke sunti hun
dayar-e-ruh mein ek an-suna naghma machalta hai
main us naghme ko lab tak la nahin sakti
mere tapte badan par
sabz shaKHon ki phuwaren sukh jati hain
meri aankhon ki jhilon mein
munawwar la-jawrdi aasman ka aks hota hai
ufuq ke par ek khiDki si khulti hai
sawad-e-waqt ki sari tanaben TuT jati hain
magar yaKH-basta diwaren
mujhe har samt se yun gher leti hain
main parwaz-e-tamanna kar nahin sakti
meri aankhon ko nila aasman hasrat se takta hai
kai umren guzar aai
kai duniyaen chhan aai
kai sahraon mein naqsh-e-qadam chhoDe
kai dariya lahu ke par kar aai
kai aatish-kadon mein jazb-e-dil kundan bana aai
magar ab bhi meri zanjir-e-ahan khaDkhaDati hai
mujhe jab jab bhi nila aasman hasrat se takta hai
main apne aatish-e-dil se jala deti hun
us zanjir ki kaDiyan
sitaron tak pahunchti hun
madar-e-nur mein mahtab ki ham-raqs hoti hun
Nazm
Kaliyan nila aasman zanjir
Sajida Zaidi