اردو हिंदी
Kal | Shaahi Shayari
kal

Nazm

Kal

Zeeshan Sahil

;

guzre hue kal aur
aaj ke bare mein

hum bahut kuchh kah sakte hain
kal hum ek suraj the

aur aaj mahz ek tufaili chand
kal hum ek daraKHt the

aur aaj us ki lakDi se bani
ek sang-dil kulhaDi

kal hum ek rang-birangi kashti the
aur aaj samundar ki tah mein

kekaDon aur ghonghon ka
nim tarik Thikana

magar is tarah ki baaten
kya is ek baat ki shiddat ko kam kar sakti hain

jise hum sunna nahin chahte
kal hum ek tawana jism the

aur aaj ek sukhti hui lash