hamein un se milna hai
jo kal ke hain
hamare pas wo kal hain
aur un ke darmiyan hai
madum ek aaj
jis ka raqba ek sifr par muhit hai
is sifr mein hai ek duniya
jo kal se aai hai
aur kal ki taraf ja rahi hai
hum is kal par ek qalin bichhate
jo jahannam mein chalne ka mashwara deti hai
main us se puchhta hun
kya us ne wisa lagwa liya hai
mera passport re-new hone gaya hai
agar mere pas
hukkaam ki jadid kanizon ke liye
na-munasib na samjhe jaane wale tohfe hue
to main passport ke baghair bhi
is ke sath jaane ke liye
kashti mein sawar kar diya gaya
aur kashti par pani ka kya udhaar hai
ye to main bhi nahin jaanta
Nazm
Kal walon ke liye
Anwar Sen Roy