اردو हिंदी
Kal se tum aKHbar na lana | Shaahi Shayari
kal se tum aKHbar na lana

Nazm

Kal se tum aKHbar na lana

Malik Ehsan

;

subh subh achchha lagta hai
ghar se nikal kar sair ko jaana

ThanDi ThanDi narm hawaon ke sagar mein munh ko dhona
aur tar-o-taza ho jaana

lawn mein bogonwalia ki Dali pe bulbul ka itrana
phudak phudak kar jhule jaana

lekin jab itni hi der mein
main gate par aa kar koi

kaghzat kuchh de jata hai
jin ke tahriri KHanjar se

bele ki KHushbu ke parinde
roz hi ghayal ho jate hain

tab dil se aawaz aati hai
aaj main hawker se ye kah dun

kal se tum aKHbar na lana