kal raat Dhale ye socha main ne
main apne KHazane saf kar lun
kis kis ka hai qarz mujh pe wajib
is ka bhi zara hisab kar lun
almari ki chabi kho gai thi
wo zang bhari purani chabi
main ne use kone kone DhunDa
mujh ko to nahin mili kahin bhi
main ne jo nazar uTha ke dekha
almari to band hi nahin thi
miTTi ki tahon mein lipTe jale
ek KHak ka Dher lag rahe the
wo sari nishaniyan hamari
wo sari kahaniyan hamari
shoale ki tarah bhaDakne wali
dhaDkan ki tarah dhaDakne wali
aaram ki nind so rahi thin
un mein koi raushni nahin thi
un mein kahin zindagi nahin thi
Nazm
Kal raat Dhale
Zehra Nigaah