kal kya hoga
aankh khuli to kal kya hoga
KHwab ko wapas nind mein rakh kar
nind ko chhoD ke bistar main
jab bistar ko tum chhoDoge
to duniya hogi
subh ki duniya
kan azan se bharne wali
pir dharoge dharti par to
arsh ko sar pe dharne wali
sar se arsh Dhalakte lamhe ghar aae to
darwaze par duniya hogi
raat ki duniya
aankh mein nind aur nind ko KHwab se bhar sakti hai
is mamul se haT kar duniya aur amal kya kar sakti hai
hairat hi ukta jae to koi muamma hal kya hoga
KHwab mein ab ke aankh khuli to ghaur se takna
kal jab tum ne aankh na kholi kal kya hoga
Nazm
Kal kya hoga
Syed Mubarak Shah