dahliz par jo KHwab TuTa hai
wo kal ka to nahin tha
wo to na-jaane kitne salon se
naniyon dadiyon ne alhaD aankhon mein jaga rakkha tha
ye jo diwar par lagi taswir achanak dhaDam se niche gir gai hai
ye kal hi to nahin Tangi gai thi
ye to us aaine mein salon se nazar aa rahi thi jo laDkiyan takiye ke niche
is ummid par rakh kar soti thin ki
is raat ke KHwab mein un ke dulha ki shabih ubhregi
ye jo taswir gir kar TuT gai hai ye sadiyon ki shabih ko bhi toD gai hai
ye jo kal dekhte hi dekhte aasman par ek baadal ka rang kala siyah paD gaya tha
ye baadal sirf kal hi to nahin aasman par aaya tha
ye collage ke aasman par nile rang mein na-jaane kitne salon se ruka hua tha
ye jo kal mohabbat aur e'timad ki tahrir dekhte hi dekhte kaghaz se ghaeb ho gai
wo sirf kal hi to nahin likhi gai thi
na-jaane kab se mohabbat ki kahaniyan likhne wale use safhat par utar rahe the
kal jo mere darwaze ke samne khaDi saDak yakayak kahin aur muD gai
aur phir nazron se ojhal ho gai ye saneha sirf kal ka to nahin
us saDak ne to salon se rasta badalne aur ghaeb hone ki Than rakhi thi
KHwab taswir tahrir baadal aur saDak un ke TuTne aur badalne ki baat
kal hi ki baat nahin hoti
Nazm
Kal hi ki baat nahin hoti
Robeena Faisal