main to hun shaer ki ruh
shaer ki KHasiyyat
ek KHushbu ek tilism
aur mera beTa ki hai shaer ka jism
shairon ki KHaslaton ka aaina
kaj-rawi ka ishtihaar
hai sameTe apne andar aib ki har ek qism
na-samajh aawara-o-bekar shaida-e-qimar
aashnaon ka musahib kam-ayar
harza-go baada-gusar
kash main hota sharabi aur kababi aur wo nek-o-shiar
ba-safa be-aib sa meri tarah
log phir mujh ko samajhte shaer-e-rangin-KHayal-o-ba-kamal
aur mera beTa bhi hota KHush-KHisal
dil na hota pur-malal
Nazm
Kaj-rawi ka ishtihaar
Krishna Mohan