kaise Tahalta hai chand aasman pe
jaise zabt ki pahli manzil
aawaz ke alawa bhi insan hai
aankhon ko chhu lene ki qimat pe udas mat ho
qabr ki sharm abhi baqi hai
hansi hamari maut ki shahadat hai
lahad mein paida hone wale bachche
hamari man aankh hai
qabr to miTTi ka makr hai
phir parinde suraj se pahle kisi ka zikr karte hain
aawaz ke alawa bhi insan hai
TuTe ho
zara aur lahu angar karo
ki main ek be-libas aurat hun
aur jitni chahun aankhen rakhti hun
main ne aawaz ko tarasha hai
hai koi mera mujassama banane wala
apni qismat pe udas mat ho
maut ki sharm abhi baqi hai
mujhe chadar dene wale
tujhe haya tak dukh lag jaen
mujhe lafz dene wale
kash aurat bhi janaze ko kandha de sakti
har qadam zanjir malum ho raha hai aur mera dil tah kar ke rakh diya
gaya hai shor mujhe lahuluhan kar raha hai main
apni qaid kaT rahi hun aur is qaid mein kabhi
hath kaT kar phenk deti hun kabhi
aawaz kaT kaT kar phenk rahi hun
mera dil daldal mein rahne wala kiDa hai aur main qabr se
dhutkari hui lash
saDandi hi saDand se meri aankhon ka
zaiqa bad-ruh ho raha hai
aur main insan ki pahli aur aaKHiri ghalati par dum hilae
bhaunkti ja rahi hun
main jab insan thi to chor ki aas tak na thi main
aankhon mein salib aur dil mein apni lash
liye phirti hun
sachchaiyon ke zahr se mari hun
lekin duniya gorkan ko DhunDhne gai hui hai
wo mujhe aabaad karta hai aur aabaad kahta hai
main hari-bhari pyas se zarKHez ho jati hun
aur phulon ko miTTi mein dabane lagti hun
dard mere azhdahe ka nam hai
aur sanp ki bhuk mera ghar hai
Nazm
Kaise Tahalta hai chand
Sara Shagufta

