mile hum jo ab ke kai sal baad
tumhein bhi malamat mujhe bhi malal
tumhaare bhi chehre ke phike the rang
mera chehra jaise bhaTakta malang
kai raaz chup ki sadaon mein the
hamari sulagti wafaon mein the
ajab waqt o manzar ajab mah-o-sal
na koi jawab aur na koi sawal
baDi koshishen ki ki ek ho saken
zara khul ke hans len zara ro saken
guzishta ke kuchh to nishan dho saken
magar ab ye mumkin kahan tha 'nadim'
na pahle se din the na pahle si raat
na pahle se lahje na pahle si baat
na pahle sa hum pe mohabbat ka jal
na pahle sa jiwan na hi mah-o-sal
Nazm
Kai sal baad
Nadeem Gullani