kaho kaun ho tum
azal se khaDe ho
nigahon mein hairat ke KHeme lagae
ufuq ke ghane paniyon ki taraf
apna chehra uThae
kaho kaun ho tum batao batao
kahin tum tilism-e-samaat se na-ashna to nahin ho
kahin tum wo dar to nahin ho
jo sadiyon ki dastak se khulta nahin
ya qadimi shikasta si mehrab ho
jis mein koi charagh-e-rifaqat bhi jalta nahin
dhund-alud kohna pahaDon mein
andar hi andar ko jata hua rasta to nahin ho
wahi rang ho
jis se rang aur aamez hota nahin
be-numu jhil jis mein parinda koi
apne par tak bhigota nahin
kaun ho tum batao batao
kahin malba-e-waqt par
nisti ke andhere mein baiThe hue
roz-e-awwal se ujDe hue
be-sahaara makin to nahin ho
kahin tum falak se pare
ya wara-e-zamin to nahin ho!
kaho kaun ho tum batao batao
kahin tum takallum ke asrar se
lafz ke bhed se na-balad to nahin ho
kahin tum abad to nahin ho!!
Nazm
Kahin tum abad to nahin ho
Rafiq Sandelvi