makan aur log
bahut KHush aur nae nazar aa rahe hain
raste aur daraKHt
KHud ko dhula hua mahsus kar rahe hain
phul aur parinde
tez dhup mein phaile hue hain
KHwab aur aawazen
shayad pani mein Dube hue hain
udasi aur KHushi
os ki tarah bichhi hai
aisa lagta hai
mere dil se bahar
ya tumhaari aankhon ke pas
kahin barish ho chuki hai
Nazm
Kahin barish ho chuki hai
Zeeshan Sahil