mere giton mein mohabbat ne jalae hain charagh
aur yahan zulmat-e-zardar ke ghere hain tamam
sab ke honTon pe hawasnak umidon ki baraat
koi leta nahin ulfat bhare giton ka salam
ai mere git! kahin aur hi chalna hoga
tujh ko malum nahin aadam o hawwa ki zamin
apne nasur ko parde mein chhupane ke liye
gul kiye deti hai afkar ke masum charagh
har nafas apne gareban pe rakhti hai nazar
jis mein ek tar bhi baqi nahin parde ke liye
ai mere git! kahin aur hi chalna hoga
aa kahin aur kisi desh ko DhunDen chal kar
ho jahan bhuk na afkar ke pardon pe muhit
waqt Dale na jahan qaid mein fikron ka jamal
pyar ke bol ko apnae jahan sari zamin
aa usi desh mein phailaun tere pyar ka nur
ai mere git! kahin aur hi chalna hoga
ye bhi mumkin hai ki jholi mein amal ki ek roz
yas ki KHak ho aur dur ho apni manzil
aarzuon ka koi desh na mil pae agar
mere sine mein utar ja ki yahan koi nahin
jo tere nur ko paigham ko samjhe aa kar
ai mere git kahin aur hi chalna hoga
Nazm
Kahin aur hi chalna hoga
Anwar Nadim