اردو हिंदी
Kahen se koi nuqta aa jae | Shaahi Shayari
kahen se koi nuqta aa jae

Nazm

Kahen se koi nuqta aa jae

Azra Abbas

;

jo kisi bhi lafz par
na lagaya ja sake

aur wo nuqta
alahida

alag-thalag
khaDa rahe

kisi bhi guman ke sahaare
is intizar mein

ki koi aisa lafz aa jae
jis par use lagaya ja sake

ye bhi ho sakta hai
wo nuqta

sadiyon us lafz ka
intizar karta rahe

ye bhi ho sakta hai
sadha sal guzar jaane ke baad

ye sare lafz bosida ho jaen
aur gal-saD kar

tahlil ho jaen
aur kuchh baqi na rahe

sirf wo nuqta rah jae