yahan Thik is jagah
jahan ek chaTan ek gahri khai par jhuki hui hai
yahan ek chhitnar daraKHt tha
wo parinde yahan aate the
jin ke bare mein logon mein
ajib ajib kahaniyan mashhur hain
is chaTan ke pahlu mein
ek aatish-kada hai
jis mein har waqt aag raushan rahti hai
jis se us ke chaaron or baiThe logon ke chehre
is qadar raushan ho jate hain
ki is chhitnar daraKHt par baiThe parinde
KHauf-zada ho jate hain
lekin ab yahan koi chhitnar daraKHt nahin
aatish-kada sar ho gaya
aur us aag se raushan chehre bhi
bujh gae
ab sirf khai ki taraf jhuki chaTan baqi rah gai hai
ya wo ajib-o-gharib kahaniyan
jo khai aur jhuki chaTan ke gird chakkar laga laga kar
ab buri tarah ukta chuki hain
Nazm
Kahaniyan
Saeeduddin