main ne ek kahani sochi hai
main use kabhi nahin likhunga
likhi hui kahaniyan paDh kar
log bahut si baaten farz kar lete hain
aur farzi kahaniyan likhni shurua kar dete hain
main ne ye kahani us se pahle kisi se nahin suni
kahin paDhi nahin aur farz bhi nahin ki
us ke kirdar kahani shurua hone se pahle
ya shayad baad mein mar chuke hain
wo ek dusre se kabhi nahin mile
ya shayad hamesha sath rahe hain
main un ke bare mein yaqin se kuchh nahin kah sakta
ghair-farzi kahaniyon ke bare mein
koi bhi yaqin se kuchh nahin kah sakta
un mein sab kuchh KHuda ki tarah ghair-yaqini
maut ki tarah achanak
aur kabhi kabhi mohabbat ki tarah KHub-surat aur ghair-mutawaqqe hota hai
us kahani ki kahani yun shurua
magar aisi kahaniyan kisi ko sunai nahin jatin
warna log KHud ko un ka kirdar samajhne lagte hain
ya shayad aisa hota bhi hai
ye kahani mere pas dushman ki kamzoriyon ke raaz
aur tash ke khel mein turup ke patton ki tarah hai
main ise kabhi nahin likhunga
ise kisi ko nahin sunaunga
is ke kirdaron aur KHud ko bhi nahin
apne doston aur us laDki ko bhi nahin
jis ke liye main ne ek kahani sochi hai
Nazm
Kahani
Zeeshan Sahil