ek din us ne mere dil ke darwaze par dastak di thi
aur mere KHwabon ki duniya mein armanon ka jashn hua tha
kaliyan mahkin phul khile the
har-su KHushbu phail gai thi
us ko dekha dekh ke socha
us jaisa is duniya mein shayad koi aur na hoga
aisa paikar aisa chehra kab dekha tha main ne
marmar ki ek murat ko chalte-phirte dekh liya tha
kitne samundar poshida the aankhon ki gahrai mein
kitni bahaaren khel rahi thin us ke hasin ruKHsaron par
ek din main ne
us ke dil ke darwaze par dastak di thi
pyar hua tha
kaliyan chaTkin phul khile the
har-su KHushbu phail gai thi
ek din us ke darwaze par shahnai baji thi
anjaan-nagar ka ek shahzada zartar qaba mein aaya tha
us ko le kar dur gaya anjaan-nagar ka shahzada
ek din main ne us ko dekha
virani ke manzar the ab KHushk samundar aankhon mein
aur KHizan ka raqs tha us ke sukhe hue ruKHsaron par
logon se ahwal suna
anjaan-nagar ka shahzada
us ko tanha chhoD gaya tha!
Nazm
Kahani
Naseem Ansari