ye kis ne aag hote roz-o-shab mein
mujh ko man kah kar pukara hai
ki jis ki pyar mein Dubi hui aawaz ne
har aag ko shabnam banaya hai
ki ab rutba mujhe man ka dilaya hai
mere bachche
main teri muntazar
shayad azal se thi
tere hi waste shayad main jannat chhoD kar
duniya mein aai thi
ki ab jo tujh ko paya hai
mere jalte badan mein mamta ki chhanw utri hai
mere bachche
main ab sahra nahin
aisa shajar hun
jis ke sae mein
faqat tu hi nahin
be-KHwab meri zindagi bhi
bahut aasudgi mein kho gai hai
kahani jo adhuri thi mukammal ho gai hai
Nazm
Kahani jo adhuri thi
Ambareen Haseeb ambar