gul-zamina!
suno
toda-e-KHak par
apni konpal si ungli se
kya likh rahi ho?
gul-zamina ne sharbat bhari aankhen upar uThain aur kahne lagi
kuchh hi din qabl
ye toda-e-KHak hi mera school tha
main ne allah ka nam
ya-hafizo
us ki diwar par likh diya tha
mere kaghaz, qalam, aur kitaben
mere kumbe ke ham-rah sab miT chuke hain
main yahan roz aati hun
apni yaadon ke baste se
pichhle sabaq DhunDhti hun
safha-e-KHak par un ko likhti hun
aur lauT jati hun
meri qismat mein paDhna nahin hai
na ho!
mera aamoKHta
mera likhna to jari rahe
Nazm
Kahani gul-zamina ki
Zehra Nigaah