safede ke sumbul ke
aur popular ke chharire shajar
meri joh mein aae the jab
meri sabz dharti ka ek bhi parinda
unhen dekhne in ki shaKHon mein
aaram karne ko tayyar hargiz nahin tha
kabhi koi phule paron wali
ek phul si faKHta
in ki shaKHon ki jaanib umanDti
to bu se pareshan ho kar
falak ki taraf tir ban kar
kuchh is taur jati
ki jaise wo wapas zamin par nahin aaegi
aur ab haal ye hai
phula hi ke kikar ke beri ke sab peD
in aane walon se ghabra ke
jaane kahan chal diye hain
ghane sabz shisham ke chhitnar murjha gae hain
agar koi bargad ya pipal ka
ek aadh haikal
kisi kone khudre mein
aankhon ko miche
paron ko sameTe khaDa hai
to kya hai
use kab kisi aane wale
chale jaane wale se koi talluq raha hai
jo yun hai to aao chalen
aane walon se chal kar milen
in se puchhen
kahan se tum aae ho bhai
irada hai kab tak yahan Thaharne ka
Nazm
Kahan se tum aae ho bhai
Wazir Agha