wahi qasmen shab-e-na-mo'atabar ki
wahi rasmen hain shahr-e-sang-dil ki
wahi diwar-e-be-rauzan ki jis ko
zabanen din Dhale tak chaTti hain
kise puchhen birun-e-sahn kya hai
kahan kis khet mein gandum ugi hai
kahan kis jhil mein suraj gira hai
kahan hain teri zirhen meri Dhaalen
kahan wo chand hai jis ki talab mein
KHala mein phenk din chehron ne aankhen
kahan hai is ghani diwar-e-shab mein
ikahri inT ki chunwai puchhen
kahan se koi KHisht-e-gham ukhaDen
kahan diwar mein rauzan banaen
Nazm
Kahan rauzan banaen
Javaid Anwar