aur kuchh der mein luT jaega har baam pe chand
aks kho jaenge aaine taras jaenge
arsh ke dida-e-namnak se bari-bari
sab sitare sar-e-KHashak baras jaenge
aas ke mare thake haare shabistanon mein
apni tanhai sameTega, bichhaega koi
bewafai ki ghaDi, tark-e-madaraat ka waqt
is ghaDi apne siwa yaad na aaega koi
tark-e-duniya ka saman KHatm-e-mulaqat ka waqt
is ghaDi ai dil-e-awara kahan jaoge
is ghaDi koi kasi ka bhi nahin rahne do
koi is waqt mile ga hi nahin rahne do
aur mile ga bhi is taur ki pachhtaoge
is ghaDi ai dil-e-awara kahan jaoge
aur kuchh der Thahar jao ki phir nashtar-e-subh
zaKHm ki tarah har ek aankh ko bedar kare
aur har kushta-e-wamandgi-e-aKHir-e-shab
bhul kar saat-e-darmandagi-e-aKHir-e-shab darmandagi aaKHir shab
jaan pahchan mulaqat pe israr kare
Nazm
Kahan jaoge
Faiz Ahmad Faiz