naqahat ke mare bura haal tha
phir bhi bistar se uTh kar
baDe pyar se us ne mujh ko bulaya
mere sar pe shafqat-bhara hath phera
nihayat halimi se mujh ko kaha
suno mere bachche
tumhein aaj main
apne pachpan baras de raha hun
agar ho sake to
kabhi in ki qimat chukana
meri qabr par thuk jaana
bas itna kaha aur wo mar gaya
aur main
us ke barson ki qimat ko
munh mein chhupae
use DhunDta hun
kahan dafn hai wo
Nazm
Kahan dafn hai wo
Mohammad Alvi