chand sal us taraf
hum shanasa nigahon se bachte-bachate
yahin par mile the
tumhein yaad hai
kaenat ek Table ke chaaron taraf ghumti thi
hamein dekh kar kitne buDhon ki aankhen
kisi yaad-e-rafta mein nam ho rahi thi
magar main ne aankhon mein
apne liye aur tumhaare liye
machhliyon ki tarah tairte aansuon mein tamannaen dekhin
mujhe yaad hai
jab kisi ajnabi mehrban ne hamein phul bheje
to tum kitni nerwous huin
jald hi KHauf, KHadshe hawa ho gae
dusri tablon par bhi gul-daste hansne lage
ab mohabbat ka maskan kahin aur hai
ye jagah ab zaban-band dushman ka munh kholne ke liye hai
jahan apni Table thi ab us jagah ek phanda laga hai
kahan aa gai ho mohabbat ka katba uThae hue
aao aage chalen
Nazm
Kahan aa gai ho
Tabish Kamal