kuchh nahin, ghar mein mere kuchh bhi nahin
koi kapDa ki hararat ko badan mein rakhta
luqma-e-nan-e-jawin KHun ko dhakka deta
man ko garmata sakun, tan se lipaTta bistar
kuchh nahin, kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin!
raat ko jism se chipkati hui sard hawa
jism ke band masamon mein utarti ThanDak
sang-e-marmar si huin KHun tarasti poren
hath larzan the umidon ne magar tham liye
panw chalte hi rahe shahr-e-KHamoshan ki taraf
parda-e-KHak mein lipTe hue be-jaan wajud!
bais-e-nang-e-zamin hun, magar ek baat bata
jism miTTi ho to kapDon ki zarurat kya hai?
dekh! paiwand-e-zamin! mere tan-e-uryan par
dagh-e-aflas ka paiwand ijazat de de
mar ke marte hue insan ko zinda kar de
ek malbus kamane ki ijazat de de!
warna bhuki hai bahut KHak, kahan dekhegi
jism kha jaegi poshak kahan dekhegi!
Nazm
Kafan-chor
Shahzad Nayar