hum shorida kaDwe talKH kasile zaiqe
raat ki pur-shahwat aankhon se Tapke taza qatre
sham ke kale siyah mathe ki nangi maKHruti KHarish
dopahron ke jalte gosht ki tez bisand
raat ki kali ran se bahta andha lawa
KHalij ki gahrai se bahar aata
qadam qadam par KHauf tabahi dahshat paida karta
bikhar raha hai
raaton ki sayyal malamat apni lambi zulf bikhere
kaDwe mausam ke jashnon mein nach rahi hai
kaDwe talKH kasile zaiqon ke in jashnon mein
gardan tak main pighal gaya hun
mathe par in shorida jashnon ki mohren sabt hui hain
kaDwe zaiqe jonken ban kar talu se ab chimaT gae hain
tez aur tund tezabi suraj
hanpte aur karahte sard makanon ki mutwarrim chiKHen
mutwarrim sanson mein surKH tashaddud ki chiKHen
mere kan mein surKH tashaddud ki chiKHon ki
chhawniyan aabaad hui hain
hum shorida kaDwe talKH kasile zaiqe
nau-zaida shahron ke munh pe
qatra qatra Tapak rahe hain
Nazm
KaDwe talKH kasile zaiqe
Tabassum Kashmiri