harf 
goyai ki zanjir mein jab qaid hua 
ism bana 
ahd bana 
nazm bana 
qissa-e-kaam-o-dahan ka gham-e-matlub bana 
KHub-o-na-KHub bana 
harf-e-na-gufta 
magar zehn ka aazar bana 
dil ki diwar bana 
rah-e-dushwar bana 
qissa-e-shauq ki warafta kahani na bana 
hila-e-wasl ki gham-dida nishani na bana 
war hai manzil-e-goyai 
sabhi jaante hain 
harf-e-na-gufta ke ye zaKHm magar mere hain 
jin ko tanhai meri 
mujh se siwa jaanti hai
        Nazm
KaDe kos
Kishwar Naheed

