kahan gae wo
watan ki ismat bachane wale
waqar-o-azmat baDhane wale
wafa ka parcham uThane wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen
kahan gae wo
jo dastan-e-wafa ko apne lahu se tahrir kar rahe the
jo apni aankhon ki qimaton par bhi KHwab tabir kar rahe the
jo raushni ke safir ban kar dilon mein tanwir kar rahe the
wafa mein zanjir ho rahe the jafa ko zanjir kar rahe the
kahan gae wo qaza ko tasKHir karne wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen
kahan gae wo
KHizan ko shadab karne wale
lahu ko sailab karne wale
sitam ko gharqab karne wale
kahan gae wo watan ko aazad karne wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen
kahan gae wo
sahar ka imkan karne wale harif-e-zulmat
saron ko qurban karne wale amin-e-jannat
watan pe ehsan karne wale naqib-e-hashmat
kahan hain aaKHir
sitam ki shamen bujhane wale
salib-o-maqtal sajaane wale kabhi na aaenge jaane wale
Nazm
Kabhi na aaenge jaane wale
Tariq Qamar